Skip to main content

Laptop me Sound nahi Aa raha hai – kya kare ?

Laptop me Sound nahi Aa raha hai – kya kare ?

 
Hi Blogger Hindi Computer & Technology me Aap ka Swagath hai to Kya Aap Jan na Chahate ho Aapke Laptop Me Sound Na Aane ka Karan kya hai ? Aagar Yes ho Padhate Rahe Aaj ka Humara Post ! Dosto 2 din pehla muze Mr.Punit ka Mumbai se mail Aaya tha jis me likha tha ki
 



Admin 
 
Mr .Punit jo tumhne Sawal Kiya hai Uske liye Me tumhe Thanks kehna Chahta hu kyu ki Dunia me Aise kahi log hai jihne Computer ke Ess Problem ka Solution pata nahi hota hai ! to me Ummid karta hu ki Aaj Aapka Sawal Aur mere Javab se dunia ke Hajaro lonk Aapne Paise bacha Sake Aur Aapne Desktop ya Laptop ka Care kar Sake ! to Chalo Jante hai Laptop me Sound problem kaise Fix kare
 
 
 
Dosto Laptop ya Desktop Se Sound Nikal jana Ye Ekk Aam Bath hai ! jaise ki Humara Hardware Software ke Bina kam nahi kar sakta hai Use Tarah Laptop me ya Desktop me Lage Huye Speakers bhi Software ke bina kam nahi kar Sakte hai ! Esiliye Hume Computer  ya Laptop Format karne ke badh Unke   future Active karne ke liye Driver Dalne Padhte hai ! Jaise ki

  • Video Driver
  • Sound Driver
  • LAN Driver
  • Bluetooth Driver
  • WiFi Driver
  • or more

to Enn Sab Function  ko Active karne ke liye hume Sab ke Aalag-Aalag Driver  laptop Me Install karna padta hai ! jiske Vajah se sare function Active hote hai !
 
to Dosto Hota kya hai ! kahi bar  Virus ke vajah se ya kuch OS problem se En ke Supporting Driver Corrupt ho jate hai  ya Delete ho jate hai to Aise vact humara Laptop proble dena shuru karte  hai Jaise ki manlo
 
  • Laptop me Sound nahi Aa raha hai to Sound driver Delete ho chuka hai !
  • Video Clear nahi Dikh raha hai to VGA driver Install karna padega
  • Task -bar par LAN ka symbol nahi Show ho Raha hai to Lan Driver install karna padega
 
Ess tarag Tum Laptop ke liye Driver Install kar ke  Laptop ki Sound Problem Door kar sakte ho
 
 
speaker Mode Check kare  
 
Laptop ke Task-bar par Dekho ki tumne Sound ko mute to nahi kiya na ! kyu ki kahi bar hum se Aanjane me Sound mute ho jata hai ! ( to Aagar Aisa ho to use Unmute karo Sound Aa jayega )
 
 
 
 
Laptop ke Driver Install kaise kare ! 
 
Aapne Laptop ke liye Driver Install karna koe badi bath nahi hai  jaise ki manlo tumhare laptop  “samsung np300e5c “Model ka hai to Simply Google me Ess Model number ko Search karo ( Laptop ka Model number Laptop ke back Side me likha hota hai )   
 
 
Aap dekh sakte ho Jaise hi mene Laptop Model number ko search kiya vaise hi mere Samne SAMSUNG ki official Site Aagayi ! Abb Simply Use Site me jana hai Aur Download & manual par click karna ! ( Dosto ye Process Laptop ke hur brand ke liye Hai )
 
   
Download & Manual par click karte hi Tumhare Samne Driver ki list Aa jayegi jis me Se Sound driver ko Download kar ke Aapne Computer me Install kar do ! Aapke Laptop ka Sound problem Solve Ho jayega
 
 
 
Chahiye to Aap Sabhi Driver Download kar ke Rakh sakte ho kyu ki Laptop ya Desktop se Driver kabhi bhi corrupt ho sakte hai Aapne pass backup hona jaroori hai

Comments

Unknown said…
mere laptop me video ya voice record krne per avaaj sunai nhi de rhi h to plz btaye ki me kya kru

Popular posts from this blog

Kisi Ke bhi wifi ka password kaise pata kare

Hi  Blogger  In hindi Mobile Tips And Trick me Aapka Swagath hai ! to kahi dino se muze Kafi Mail aur  Facebook  par Msg Aa rahe hai  jaise ke   Sir Hacking par post likho Facebook Hack kaise karte hai Gmail Account kaise Recover karte hai Brut-force Attack yane kya WiFi kaise hack kare ya kisi ka Password kaise Nikale to Dosto sabse pehla me tumhe kehna Chahta hu Ki !  Hacking  Aur Cracking  Sikhna Koe Aam Bath nahi hai par Tum _ Dil Se Pura Focus Aapne goal par Doge to Sab  Mumkin hai ! to Chalo Ess  post  me to me tumhe Hacking Sikhane Wala nahi hu Par Me Tumhe Ekk Trick Share kar ne Ja raha hu jise istimal karke tum Dunia me kisi ke bhi  WiFi  ka Password Aasani se nikal sakte ho   YouTube ke liye  Animation Video kaise Banaye Computer se Mobile par Free call kaise kare   how to get any wifi password in Hindi  1) Sabse pehla Google Play store se ”...

Pendrive (SD card) Me Write Protection Kyu Lagate hai

Hello Dosto  Top Hindi Blog  me Aapka swagat hai | Aaj Hum hindi language me Janenge ki Kaise Write Protected Pen-drive Or  SD-MMC Card  ko hum Bina Kisi Error ke Format Ya Repair kar Sakte hai  to Agar Aap hi Es Technique Ko Jan na Chahate ho to Humara Post Pura padhe Aur Share karna Na Bhule  Pen Drive ME Write Protection Lagna Yane  Pendrive Lock hona Aisa hum keh sakate hai Kyu Ki Jab PD OR SD card ko Write Protection Lag Jata hai tab Hum “NA” Use Pendrive ko Format kar sakte hai “Na” Koe Data Copy-past kar sakte hai Aise Me Pendrive (sd card )Humare Pass Hokar bhi Bekar ho jata hai | to sabse Pehla Hindi me Jane ki Flash Drive Or Memory cards me Yah Problem Kaise Aati hai Pendrive (SD card) Me Write Protection Kyu Lagate hai 1 reason English  – The Pen drive or Card May Be Physically Lock In Hindi  -Kahi Bar PD or Card me 1 Physically Lock Button Hota hai Agar use Lock Kiya to Humare PD or Card me Write Protected L...